faqih-e-shahr ka lahja hai pur-jalal bahut tabhi to shahr mein phaila hai ishtial bahut wo ek shakhs ki mahrum-e-shana-o-sar hai use hai jubba-o-dastar ka khayal bahut wo pahle aag lagata hai phir bujhata hai use hai shoabda-bazi mein bhi kamal bahut amir-e-shahr ki sari tijoriyan khali gada-e-shahr ke kashkol mein hai mal bahut muhafizon ki zarurat tumhaare jaison ko hamare jaison ko apne badan ki dhaal bahut kahan se sikh ke aae ho guftugu ka hunar utha rahe ho sar-e-bazm tum sawal bahut usi ke hath pe baiat usi se ahd-e-wafa tumhein yazid ka jis par tha ehtimal bahut faza mein udte parindon ko bhi nahin malum ki baghban ne bichhae hain ab ke jal bahut jo ho raha hai tamasha wahi dikhata hai kalam hota hai 'nasir' ka hasb-e-haal bahut