chashm-e-ahu aur hai is ki kahani aur hai jis mein main rahta hun chashm-e-asmani aur hai jis mein tu shamil tha wo kuchh aur tha tarz-e-hayat ab jo guzre ja rahi hai zindagani aur hai ghar ke andar jo hua wo waqia kuchh aur tha us ne jo sab ko sunai wo kahani aur hai aatish-e-gham khana-e-dil mein bujhane ke liye aur ro lunga abhi aankhon mein pani aur hai tairne se dubna khush-tar hai dil ki naw ka gham ka dariya aur hai is ki rawani aur hai ek ghazal sun kar 'munawar' wo bahut naraaz hai ek manane ke liye us ko sunani aur hai