daulat mili jahan ki nam-o-nishan mile sab kuchh mila hamein na magar mehrban mile pahle bhi jaise dekh chuke hon unhen kahin anjaan wadiyon mein kuchh aise nishan mile badhta gaya main manzil-e-mahbub ki taraf hail agarche rah mein sang-e-garan mile rona pada nasib ke hathon hazar bar ek bar muskura ke jo tum mehrban mile hum ko khushi mili bhi to bas aarzi mili lekin jo gham mile wo gham-e-jawedan mile baqi rahegi hashr tak un ke karam ki yaad mujh ko rah-e-hayat mein jo mehrban mile phir kyun kare talash koi aur aastan wo khush-nasib jis ko tera aastan mile ahl-e-sitam ki dil-shikani ka sabab hua dil ka ye hausla ki gham be-karan mile saqi ki ek nigah se kaya palat gai zahid jo mai-kade mein mile naujawan mile dair-o-haram ke log bhi darman na kar sake wo bhi asir-e-kashmakash-e-in-o-an mile nazren talash karti rahin jin ko umr-bhar 'darshan' ko wo sukun ke lamhe kahan mile