chashm-e-dil jis ki rah takti hai ab wo bijli kahan chamakti hai der lagti hai jis ko jalne mein aag wo der tak dahakti hai tujh se milne ki aas ki chidiya sehn-e-dil mein bahut chahakti hai dil dahalta hai dusri ka bhi ek diwar jab darakti hai chhupne wali nahin meri chahat teri aankhon mein jo chamakti hai tishnagi meri jis se hai mansub wo surahi kahan chhalakti hai jaane kab wo karen wafa dil se roz chashm-e-wafa phadakti hai jalne walon se koi kya puchhe kyon unhen raushni khatakti hai aas tuti to sath hi 'raghib' sans ki dor tut sakti hai