dil ikhtiyar mein hai na jaan ikhtiyar mein saqi ne kya mila diya kaif-e-bahaar mein the chaar din jo zindagi-e-mustaar mein do aarzu mein kat gae do intizar mein saqi ki ek nazar bhi agar hum pe pad gai tauba ka khun kar ke rahenge bahaar mein is but se kar ke zikr-e-wafa hae kya kiya ek pech dal di dil-e-be-e'tibar mein thi kis ki yaad aaj jo tadpa gai hamein ek huk uth rahi hai dil-e-be-qarar mein aaghosh-e-chashm ko sabad-e-gul bana diya ghunche jo khilkhilae hujum-e-bahaar mein ye bhi ada-e-naz thi wo bhi ada-e-naz machlen jo shokhiyan nigah-e-sharm-sar mein rote mujhe jo dekha to kuchh aur khinch gae ulta fusun tha girya-e-be-ikhtiyar mein hasrat ke aansuon mein tamanna ka khun hai pani mein aag hai ki hai shabnam sharar mein parwana said-e-nur to bulbul asir-e-rang kis ki ada sama gai gul mein sharar mein