zakhm-e-furqat ko teri yaad ne bharne na diya gham-e-tanhai magar rukh pe ubharne na diya aaj bhi naqsh hain dil par teri aahat ke nishan hum ne us rah se auron ko guzarne na diya tu ne jis roz se chhoda ise khali rakkha main ne khushiyon ko bhi is dil mein thaharne na diya rabt jo tujh se banaya so banae rakkha tu hi kya tera tasawwur bhi bikharne na diya zabt itna ki charaghon se hue mahw-e-kalam yaad itni ki tujhe dil se utarne na diya aaine tod diye jo bhi nazar se guzre kisi mah-ru ko tere baad sanwarne na diya