dard badh kar dawa na ho jae zindagi be-maza na ho jae rokta hun mizha pe main aansu gir ke dil ki sada na ho jae nigah-e-iltifat ke sadqe dil ki dhadkan siwa na ho jae roz marta hun roz jita hun tera wada wafa na ho jae aap se shikwa ai maaz-allah lab tak aa kar dua na ho jae wo kisi kaam ka nahin jo dil dard se aashna na ho jae sina aksar hai soz se khali zist be-muddaa na ho jae uf ye tahzib-e-nau ki khun-khwari khun-e-insan rawa na ho jae dil-lagi dil-lagi mein dekh 'habib' ishq ki ibtida na ho jae