ek to qayamat hai is makan ki tanhai us pe mar dalegi mujh ko jaan ki tanhai tum ne to sitaron ko dur hi se dekha hai tum samajh na paoge aasman ki tanhai wo udhar akela tha hum idhar akele the raste mein hail thi darmiyan ki tanhai phir wahi charaghon ka rafta rafta bujh jaana phir wahi sukut-e-shab phir wo jaan ki tanhai dasht mein bhi kuchh din tak wahshaten to hoti hain ras aane lagti hai phir wahan ki tanhai koi bhi yaqin dil ko 'shad' kar nahin sakta ruh mein utar jae jab guman ki tanhai