ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jae jis mein insan ko insan banaya jae jis ki khushbu se mahak jae padosi ka bhi ghar phul is qism ka har samt khilaya jae aag bahti hai yahan ganga mein jhelam mein bhi koi batlae kahan ja ke nahaya jae pyar ka khun hua kyun ye samajhne ke liye har andhere ko ujale mein bulaya jae mere dukh-dard ka tujh par ho asar kuchh aisa main rahun bhuka to tujh se bhi na khaya jae jism do ho ke bhi dil ek hon apne aise mera aansu teri palkon se uthaya jae git anman hai ghazal chup hai rubai hai dukhi aise mahaul mein 'niraj' ko bulaya jae