chashm-e-jaanan ke hain kis darja ishaaraat wasia

chashm-e-jaanan ke hain kis darja ishaaraat wasia
har takhayyul hai buland us ka har ek baat wasia

nahin rahti kabhi raftar-e-zamana yaksan
dahr mein din hai kabhi aur kabhi raat wasia

khwahish-e-wasl pe farmaya ki han han hoga
mukhtasar lafz hain lekin hain ishaaraat wasia

ek hichki ne kiya qissa-e-furqat ko tamam
hum samajhte the ki hain hijr ke haalat wasia

kya tajjub jo kifayat na kare roz-e-hisab
is qadar hain meri taqdir ki aafat wasia

hijr ki ek ghadi ek baras hoti hai
din ko hai tul jo furqat mein to hai raat wasia

haalat-e-naza mein wo puchhte hain kya kahiye
waqt thoda sa hai 'afaq' shikayat wasia


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close