durust hai ki mera haal ab zubun bhi nahin maqam-e-sajda ki ye jam sar-nigun bhi nahin nahin ki shorish-e-bazm-e-tarab fuzun bhi nahin dalil-e-shorish-e-jaan ek charagh-e-khun bhi nahin hadis-e-shauq abhi mukhtasar hai chup rahiye abhi bahaar ka kya gham abhi junun bhi nahin abhi to taq-e-haram mein jalaiye shamen abhi harif-e-sanam jazb-e-andarun bhi nahin abhi ye gumbad-e-sar phodne ki kije fikr ki sadd-e-rah abhi charkh nilgun bhi nahin abhi to gard-e-rah-e-astan se saz karen farogh-e-dida koi paikar-e-fusun bhi nahin hai is qadar ki nigah baam-o-dar pe phirti hai magar dilon ko jo tadpae wo sukun bhi nahin