chashm-e-nam se dekhta hai kyon meri chashm-e-pur-ab

chashm-e-nam se dekhta hai kyon meri chashm-e-pur-ab
tere dil ki barf ne dekha nahin hai aaftab

yun guzarti ja rahi hai zindagi ki dopahar
dil mein ek ummid-e-kazib aur aankhon mein sarab

khud-sari us tund-khu ki jate jate jaegi
ek hi din mein kabhi aata nahin hai inqalab

tum ne hum ko kya diya aur hum se tum ko kya mila
mil gai fursat kabhi to ye bhi kar lenge hisab

hum ko apna shahar yaad aata na shayad is qadar
kya karen rahta hai tere shahar ka mausam kharab

ek khat likh kar samajhna farz pura ho gaya
wah 'basir' ji tumhaara bhi nahin koi jawab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close