wahi jo manzil-e-shams-o-qamar mein rahta hai

wahi jo manzil-e-shams-o-qamar mein rahta hai
wo husn ban ke hamari nazar mein rahta hai

nazar ko apni chhupae hue hun main sab se
ki ek parda-nashin is nazar mein rahta hai

tumhaari did ka arman jo ghat gaya dil mein
wo ban ke nala talash-e-asar mein rahta hai

asir-e-zulf-e-parishan hun is liye ai dost
mera khayal hamesha safar mein rahta hai

qafas ki zindagi-e-be-maza ko kab hasil
jo lutf yurish-e-barq-o-sharar mein rahta hai

jidhar nigah uthaun usi ka aks ubhre
usi ka jalwa 'jamali' nazar mein rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close