dekh kar har dar-o-diwar ko hairan hona wo mera pahle-pahal dakhil-e-zindan hona qabil-e-did hai us ghar ka bhi viran hona jis ke har gosha mein makhfi tha bayaban hona ji na utthunga hai bekar pasheman hona jao ab ho chuka jo kuchh tha meri jaan hona wahima mujh ko dikhata hai junun ke saman nazar aata hai mujhe ghar ka bayaban hona uf mere ujde hue ghar ki tabahi dekho jis ke har zarre pe chhaya hai bayaban hona hadse donon ye aalam mein aham guzre hain hadse donon ye aalam mein aham guzre hain mera marna teri zulfon ka pareshan hona al-hazar gor-e-ghariban ki darauni raaten aur wo un ke ghane baal pareshan hona raat-bhar soz-e-mohabbat ne jalaya mujh ko tha muqaddar mein charagh-e-shab-e-hijran hona kyun na wahshat mein bhi paband-e-mohabbat rahta tha bayaban mein mujhe qaidi-e-zindan hona hoga ek waqt mein ye waqia-e-tarikhi yaad rakhna mere kashane ka viran hona kuchh na puchho shab-e-wada mere ghar ki raunaq allah allah wo saman se saman hona josh mein le ke ek angdai kisi ka kahna tum ko aata hi nahin chaak-gareban hona un ki us koshish-e-be-had ka pata deta hai chaarasazon ka mere lash pe giryan hona aalam-e-ishq ki fitrat mein khalal aata hai man lun hazrat-e-naseh ka gar insan hona surkh dori teri aankhon ki ilahi tauba chahiye tha inhen paiwast-e-rag-e-jaan hona ho chalen aap ke bimar ki aankhen be-nur qahr tha subh ke tare ka numayan hona main karun zabt idhar un ko pasina aae chahiye yun gham-e-pinhan ko numayan hona allah allah ye saliqa tera ai shoala-e-tur kis tarah tu ne chhupaya hai numayan hona un se karta hai dam-e-naza wasiyyat ye 'aziz' khalq roegi magar tum na pareshan hona