chashm-e-tar hai koi sarab nahin dard-e-dil ab koi azab nahin kaise is baat par yaqin kar lun tu haqiqat hai koi khwab nahin mausam-e-gul ka zikr rahne de ye meri baat ka jawab nahin tu agar gham se ajnabi hai to haal apna bhi ab kharab nahin man leta hun main nahin majnun tera rukh bhi to mahtab nahin kya karun husn ka tasawwur ab tere chehre pe jab naqab nahin der pahchanne mein pal bhar ki ye koi bais-e-iztirab nahin umr guzri hai mazarat karte ghaflaten meri be-hisab nahin