rakha sar par jo aaya yar ka khat gaya sab dard-e-sar kiya tha dawa khat diya khat aur hun qasid ke pichhe hua tasir mein kya kahruba khat wahin qasid ke munh par phenk mara diya qasid ne jab ja kar mera khat hai lazim haal khairiyyat ka likhna kabhi to bhej o na-ashna khat raha mamnun kaghaz-saz ka main suna dega use sab majra khat pata milta nahin us be-nishan ka liye phirta hai qasid ja-ba-ja khat rahi hasrat ye sari umr 'bahram' na mujh ko yar ne hargiz likha khat