safar mein dhup hai to saeban bhi hoga zamin hogi jahan aasman bhi hoga khabar kahan thi ki ye ruh ek masjid hai siyah wajud mein nur-e-azan bhi hoga tere badan pe ye budha safed sar kaisa jadid bachche bata kya jawan bhi hoga meri pasand ke afrad jis mein rahte hain zamin pe aisa koi khandan bhi hoga suna hai shahr-e-khamoshan mein aa gaya hun main yahin kahin koi mera makan bhi hoga wo mujh se bichhda main ro-dho ke 'ashk' bhul gaya pata nahin tha ki dil par nishan bhi hoga