chashm-o-gesu ka koi zikr na rukhsar ki baat baith kar kijiye un se dar-o-diwar ki baat ye adaen ye ishaare ye hasin qaul-o-qarar kitne aadab ke parde mein hai inkar ki baat raat bhar jis ki tamanna mein jale hain hum log wo sahar shaikh ki nazron mein hai kuffar ki baat bazm-e-aghyar agar ho to bichhe jate hain aur karte hain wo hum se rasan-o-dar ki baat madh-e-sayyaad bahar-haal zaruri to nahin chup raho ye bhi hai ab jurat-e-kirdar ki baat kis bharose pe karen ishq ka sauda 'khalid' waqt shayad hai ki rahti nahin talwar ki baat