dayar-e-zat mein jab khamushi mahsus hoti hai to har aawaz jaise gunjti mahsus hoti hai main thodi der bhi aankhon ko apni band kar lun to andheron mein mujhe ek raushni mahsus hoti hai suna tha main ne ye to pattharon ka shahr hai lekin yahan to pattharon mein zindagi mahsus hoti hai tasawwur mein teri taswir main jab bhi banata hun mujhe har bar rangon ki kami mahsus hoti hai jise sochon ne dhaala ho khayalon ne tarasha ho wo chehra dekh kar kitni khushi mahsus hoti hai yahi bedariyan hain jo mujhe sone nahin detin inhin bedariyon mein nind bhi mahsus hoti hai ye ab main aagahi ki kaun si manzil pe aa pahuncha mujhe sairabiyon mein tishnagi mahsus hoti hai