daftar jo gulon ke wo sanam khol raha hai aghyar to kya dil bhi idhar bol raha hai aasar-e-rihai hain ye dil bol raha hai sayyaad sitamgar mere par khol raha hai ghairon se mere waste jo bol raha hai aab-e-dard-e-nida nahin wo sam ghol raha hai kis kis ka nahin tair-e-dil dam mein us ke tuti khatt-e-ariz ka tere bol raha hai jame se hua jata hai bahar jo har ek gul kya bagh mein wo band-e-qaba khol raha hai shahon ki tarah ki hai basar dasht-e-junun mein diwanon ka ham-rah mere ghol raha hai kya kya nahin dukh qaid musibat ke sahe hain barson dil-e-nashad meri awwal raha hai raqs aap ka jo dekh ke behaal hua tha ghunghru usi pamal ka ab bol raha hai yaad aati hai kis but ki mere khana-e-dil mein chhati ke kiwad aaj koi khol raha hai karne ko hai said aaj kisi tair-e-dil shahin nigah-e-yar ka par tol raha hai taskin ko ye kahte rahe furqat ki shab ahbab lo subh hui murgh-e-sahar bol raha hai bulbul hai fida karti nahin naqd-e-dil us par gulzar mein ghuncha bhi girah khol raha hai danai se khali tha na diwana-pan us ka duniya mein badi chain se bahlol raha hai maqtal mein gire padte hain jaanbaz pe jaanbaz talwar se khak khada rol raha hai dil to diya mizan nahin patti nazar aati nazron mein wo khush-chashm mujhe taul raha hai sanduqcha argan ka hai ya khana-e-sayyaad har murgh-e-nafas hank nai bol raha hai mitte nahin dekhi hai shikan hum ne jabin ki jab farsh par us ke kahin kuchh jhol raha hai mahrum thin rah gae kahte hain ye sab log jaan-bazon ko kas kar wo kamar khol raha hai kya garm hai bazar-e-kharidari-e-bulbul gulzar mein kanta zar-e-gul tol raha hai kam qadr kabhi dekhi nahin jins-e-mohabbat sauda ye hamesha 'qalaq' anmol raha hai