chehra sabab baghair nahin mera zard hai

chehra sabab baghair nahin mera zard hai
dil par lagi hai chot kaleje mein dard hai

guzra hai is taraf se koi karwan zarur
manzil ki samt jab to hawaon mein gard hai

phir hashr ho na jae bapa kaenat mein
bimar-e-gham ke honton pe ek aah-e-sard hai

wo rah-e-haq mein maut se darta nahin kabhi
jo aalam-e-hayat ka jaan-baz mard hai

lillah do-ghadi ke liye dekh bhi to ja
tere mariz-e-ishq ki ab nabz sard hai

'akhtar' bata junun-e-mohabbat hai kya bala
kahte hain aaj-kal ki tu sahra-naward hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close