yahan bhi tu hai wahan bhi tu hai kahan nahin hai kidhar nahin hai na phir bhi dekhe jo tera jalwa wo shakhs ahl-e-nazar nahin hai wo qar-e-dariya ho ya kinara har ek ja main ne chhan mara mizha pe larzan sarishk jaisa kahin bhi koi guhar nahin hai badan agarche jawan jawan hai ragon ke andar lahu rawan hai fuzul sab hai jo bahr-e-dil mein zuhur-e-madd-o-jazar nahin hai huzur chaliye sanbhal sanbhal ke qadam zara aur halke halke khayal rakhiye ye mera dil hai ye aap ki rahguzar nahin hai gai bahaaron ke rag chhedo khizan ruton ki parat udhedo tumhaari bazm-e-tarab mein saqi abhi meri chashm-e-tar nahin hai main apna har kaam apni had mein bade tayaqqun se kar raha hun meri lughat ke kisi waraq par agar nahin hai magar nahin abhi talak us ke ru-e-zeba pe meri nazren tiki hui hain use bhi hai ye guman-e-ghaalib ki aaine ko khabar nahin hai jo bad-chalan tha zamane bhar ka wahi fazilat-maab thahra usi ko dastar di gai hai ki jis ke shane pe sar nahin hai kabhi jo ghar se safar pe niklo ye baat qirtas-e-dil pe likh lo ki har sharik-e-safar hamara haqiqatan ham-safar nahin hai isi mein 'akhlaq' umr bhar ki masafaton ka hai raaz pinhan ye ek lamha jo wasl ka hai ye saat-e-mukhtasar nahin hai