husn ki dilkashi nahin jati aankh ki tishnagi nahin jati aap ki sadgi nahin jati is liye dilkashi nahin jati teri zulfon ke pech-o-kham tauba meri diwangi nahin jati baat kya hai mere nasheman se barq ki dushmani nahin jati takhta-e-dar ho ki qaid-e-rasan ishq ki khud-sari nahin jati khwah ruswa sahi zamane mein azmat-e-ashiqi nahin jati husn ki chashm-e-mai-chakan tauba khwahish-e-mai-kashi nahin jati baat dil ki na puchhiye 'akhtar' baat dil ki kahi nahin jati