chehra salim na nazar hi qaem be-sutun sab ki haweli qaem hath se maujon ne rakh di patwar kaise dhaare pe hai kashti qaem zist hai kachche ghade ke manind bahte pani pe hai mitti qaem sae diwar ke tedhe tirchhe aur diwar ki sidhi qaem sab hain tuti hui qadron ke khandar kaun hai waza pe apni qaem khud ko kis sath par zinda rakkhun lafz daim hain na mani qaem hai badi baat jo rah jae 'faza' sath-e-sanjida-nigahi qaem