kisi bhi hadse se zindagi ke hum nahin darte kisi bhi haal mein hum hausla kuchh kam nahin karte hum aane wale kal ke waste bechain rahte hain jo kal guzra hai us kal ka kabhi matam nahin karte hamari zat se taklif pahunche koi na-mumkin koi nahaq agar ruthe to us ka gham nahin karte jinhen malum hai ashkon ki qimat ai mere hamdam kisi ke samne aankhon ko apni nam nahin karte hai jin ke dil mein ummid-o-yaqin ki raushni baqi charagh-e-arzu ki lau ko wo maddham nahin karte jinhen maqsad mein apne kaamyabi ho nahin pati wo jidd-o-jahd karte hain magar paiham nahin karte tahammul apni fitrat mein hai shamil wo kabhi 'hassan' mizaj apna zara si baat par barham nahin karte