ye dil bas mein kabhi mere raha nain kabhi yaadon ka daman chhodta nain bhulaen kaise amrohe ki galiyan abhi lahje se amroha gaya nain yahin gum-karda apna aashiyan tha jahan baqi koi ab aashna nain shikasta ho chuke mehrab-o-dar sab abhi tak zehn se naqsha gaya nain hamare nam ki takhti nahin hai magar wo ghar to khwabon se gaya nain main samjhun hun tumhaari be-qarari miyan guzra zamana lautta nain kisi saffak hijrat ke sitam se zamin se apna rishta tutta nain tumhaari shairana be-khudi ko kisi sarhad pe koi rokta nain bahut thi dhum jashn-e-rekhta mein tumhaare nam ki tum ne suna nain tumhaari shairi par sar dhune hain magar ye log urdu aashna nain padi hai shairi ghutti mein 'azra' magar kuchh mo'atabar ab tak kaha nain