chehre pe damak uthta hai jab rang-e-haya aur aise mein maza deti hai apni hi ada aur gar jaan bhi meri jae to banhon mein tumhaari dil mein koi khwahish hi nahin is ke siwa aur dar chhod ke tera to kahin ja na sakungi kafir to nahin hun jo bana lungi khuda aur har chand ki ghayal hun magar sans hai baqi jine ki mujhe dijiye ab koi saza aur likhne hain mujhe khwab ke pannon pe ujale aankhon mein jala lungi 'samina' main diya aur