khali sharab-e-ishq se saghar kabhi na the aise to khushk dal ke samundar kabhi na the jo sang-e-ehtisab yaganon ke pas hain dushman ke hath mein bhi wo patthar kabhi na the kis samt ja rahe hain unhen khud pata nahin yun be-khabar to rah se rahbar kabhi na the dil tukde tukde ho gaya zakhmi hai ruh bhi itne to tez waqt ke nashtar kabhi na the milta nahin kahin bhi dar-o-baam ka nishan hum ghar mein rah ke itne to be-ghar kabhi na the kya jaanen kya huin wo hasin shokhiyan 'hayat' aise nidhaal phul se paikar kabhi na the