chehre pe huzn-o-ranj-o-alam ke nishan na the hum ro rahe the aankh se aansu rawan na the har baat pe hum aap ki khamosh hi rahe pas-e-adab tha warna to hum be-zaban na the pahle bhi kuchh huin thin ghalat-fahmiyan magar is tarah log hum se kabhi bad-guman na the baaton se hum to duniya ko dhoka na de sake sidhi si baat kahte the jadu bayan na the yak-bargi ye lutf-o-karam ho raha hai kyon is tarah aap hum pe kabhi mehrban na the mushkil se hum ne manzil-e-maqsud pai hai baithe hamari tak mein dushman kahan na the