chehre pe mere rang pareshaniyon ka hai dariya mein sara zor hi tughyaniyon ka hai khud rahbaran-e-qaum hain aalaishon mein gum hum se magar mutaliba qurbaniyon ka hai ahbab mere is tarah mujh par hain tana-zan jaise khulus nam hi nadaniyon ka hai sahil jo kat ke girte hain dariya ki god mein kya ye qusur bahte hue paniyon ka hai insan nahin hai koi bhi sae zarur hain manzar har ek shahr mein viraniyon ka hai kuchh khauf-e-ehtisab na sud o ziyan ka dar ye faeda to be-sar-o-samaniyon ka hai