dekh apne qarar karne ko aur mere intizar karne ko tumhein dekhe se kya tasalli ho ji to hota hai pyar karne ko meri tadbir ek nahin karta hain nasihat hazar karne ko wo wo sadme sahe shab-e-gham mein chahiye din shumar karne ko wo gar aaen to pas kya hai aur ek jaan hai nisar karne ko jhute wade kiya na kije aap muft ummid-war karne ko aap hain ruthne hi ko aur hum minnaten bar bar karne ko apni ayyariyon ko dekhen aap aur mere e'tibar karne ko dil bhi tera sa chahiye hai 'nizam' ishq ke ikhtiyar karne ko