un ki nazar ka lutf numayan nahin raha hum par wo iltifat-e-nigaran nahin raha dil-bastagi-o-aish ka saman nahin raha khush-bashi-e-hayat ka saman nahin raha ye bhi nahin ki gul mein latafat nahin rahi par jannat-nigah gulistan nahin raha har be-hunar se garm hai bazar-e-siflagi ahl-e-hunar ke waste maidan nahin raha apni zaban apna tamaddun badal gaya lutf-e-kalam ab wo sukhan-dan nahin raha kyun ab tawaf-e-ku-e-malamat se hai gurez kya wo junun-e-kucha-e-jaanan nahin raha sikha hai hadsat-e-zamana se khelna hum ko hiras-e-mauja-e-tufan nahin raha har bait jis ke faiz se bait-ul-ghazal bane ab wo surur-e-chashm-e-ghazalan nahin raha diwangi-e-shauq ke qurban jaiye ab imtiyaz-e-jeb-o-gareban nahin raha pir-e-mughan ki baiat-e-kaamil ke faiz se ab shaikh nam ka bhi musalman nahin raha un ki nigah-e-naz ka ye iltifat hai chaaragaron ka zist par ehsan nahin raha kya haal hai tumhaara azizan-e-lucknow tahzib-e-ahl-e-dilli ka pursan nahin raha har shai hai is jahan mein lekin khuda-gawah 'gulzar' is dayar mein insan nahin raha