chehre se kab ayan hai mere iztirar bhi lekin main kar raha hun tera intizar bhi shayad tujhe ho dastaras apne wajud par mujh ko to is nazar pe nahin ikhtiyar bhi milne lage hain ab to khushi ke libas mein gham-ha-e-zindagi ka hai koi shumar bhi ho lakh khub-ru koi apne tain magar hota hai aks-o-aine par inhisar bhi yakja hui hain husn ki sab us mein khubiyan chehre pe tazgi hai nazar mein khumar bhi lagta hai jaan-bujh ke aisa kiya gaya tu ne banai chiz koi paedar bhi mahzuz hum bhi honge jo fursat kahin mile gulshan bhi hai gulab bhi rang-e-bahaar bhi