gham ki aaghosh mein jo palte hain wahi duniya ka rukh badalte hain khar to kya hain hum gulon se bhi apna daman bacha ke chalte hain inhi khamosh si fazaon mein kitne tufan hain jo palte hain lakh kante bichhe hon rahon mein chalne wale zarur chalte hain manzilen chumti hain un ke qadam aap jo apni rah chalte hain hain wahi asl mein zamana-shanas jo zamane ke sath chalte hain un ko milti hai zindagi-e-dawam thokaren kha ke jo sanbhalte hain shoabde dekh chashm-e-saqi ke mai chhalakti hai jam chalte hain khauf se rahzanon ke ai 'jauhar' hum kahin rasta badalte hain