nahin kuchh faiz hasil tha zamane se khafa ho kar main diwana bana hun khud hi us but par fana ho kar meri duniya mein ashk-o-khun ka tanta raha har-dam kabhi teri wafaon mein kabhi tum se juda ho kar tasawwur mein bhi pindar-e-wafa ka lutf hasil tha tumhaari zulf-e-qatil-e-pesha ke kham mein fana ho kar ganwai ashkon ne tasir jo khun-e-jigar ki thi gira jab aab-e-gauhar bhi libas-e-tan pe wa ho kar yahi duniya ki tang-bini se milta hai wafaon ko juda ho jate hain aashiq sanam se bewafa ho kar wahi be-sud si bandish zamane ke usulon ki wafa ko qaid kar deti hain zanjiren saza ho kar main kin majburiyon ka ab karun matam bata 'baaligh' jo paya be-khudi mein wo ganwaya aashna ho kar