chhai hai qayamat ki ghata dekhiye kya ho barse to barasne ki ada dekhiye kya ho khul khul ke sabhi phul to masrur hain lekin masmum hai gulshan ki faza dekhiye kya ho phir josh mein hain aaj mere madd-e-muqabil hai meri wafa un ki jafa dekhiye kya ho sar jod ke baithe hain sabhi sulh ki khatir hain un ke khayalat juda dekhiye kya ho tufan hawadis mein jalane to chala hun ek mehr-o-ukhuwwat ka diya dekhiye kya hu haq baat bhi arbab-e-adalat ko khali hai izhaar-e-haqiqat ki saza dekhiye kya ho sahra-e-tajassus mein talash apni hai 'kausar' kuchh yaad nahin apna pata dekhiye kya ho