hawa bahut tez chal rahi hai charagh-e-jaan phir bhi jal raha hai ye kaun hai jo hamare pichhe hawa ke hamrah chal raha hai guman ki basti mein rahne walo zara pahadi pe chadh ke dekho udhar nadi hai wahin se shahr-e-yaqin ka rasta nikal raha hai sarab-andar-sarab tum ho charagh-andar-charagh hum hain hamin se tarikiyan hain khaif hamin se khurshed jal raha hai hamare bachche yahan rahenge to aandhiyon mein ghire rahenge unhen yahan se nikalna hoga yahan ka manzar badal raha hai purani qabron pe aaj kitne nae makanon ki zindagi hai jo aaj hai bas usi ko dekho wo bhul jao jo kal raha hai kisi ne shane pe hath rakh kar jo nam puchha 'matin' apna charagh aankhon mein jal-bujhe hain wajud sara pighal raha hai