gaya wo daur hawaon se tang hone ka koi malal nahin apne sang hone ka basa hua hai nigahon mein ek hi manzar bada hi shauq tha akkas rang hone ka wahi jahan-e-hawadis wahi khuli aankhen qarib-e-marg hai ehsas dang hone ka sada-e-saz jo bhati hai do-ghadi dil ka guman tar-e-nafas pe hai chang hone ka mujhe kisi se bhi 'amjad' gila nahin main to talash karta hun mauqa dabang hone ka khade raho na muqabil har ek ke 'amjad' ki is tarah se to khatra hai jang hone ka