chhodta mujh ko na bismil wo magar chhod diya sar pe ehsan rahe is liye sar chhod diya tukde tukde kiya naseh ka gareban main ne shukr hai us ne mera daman-e-tar chhod diya kaam sab khana-kharabi ke hue hain tujh se rahm kha kar tujhe ai dida-e-tar chhod diya phir kahan tha na yahan tha na wahan tha wo shokh daman us ka jo sar-e-rahguzar chhod diya le gai thi tere diwane ko ghar se wahshat nahin ma'lum ki jangal mein kidhar chhod diya 'dagh'-e-warafta-tabiat ka thikana kya hai khana-barbaad ne muddat hui ghar chhod diya