chhan ke aati hai jo ye raushni darwaze se kya mujhe dekh raha hai koi darwaze se ghar ki takhti se mila aaj mujhe apna pata apne hone ki gawahi mili darwaze se main ne dahliz se jaane ki ijazat le li phir meri baat na tai ho saki darwaze se ek rauzan mein padi aankh se khulne lage hain ek diwar ke andar kai darwaze se main ne is khwab ko andar kahin mismar kiya meri aawaz na bahar gai darwaze se raat bhar siskiyan leta hai koi shakhs yahan kabhi diwar se lag kar kabhi darwaze se khali kamra mera kis chap se bhar jata hai aata jata hi nahin jab koi darwaze se ek khushbu ne qadam bhul ke bahar rakkha phir gali aankh milane lagi darwaze se roz ek shahr-e-pur-asrar mein kho jata hun wahi galiyan wahi raste wahi darwaze se tu ne mahtab nikalte hue dekha hai kabhi aur mahtab bhi aise kisi darwaze se