is zat ke hisar se niklunga ek roz patthar hata ke ghaar se niklunga ek roz andar ki ek sada ka mujhe intizar hai bahar ke intishaar se niklunga ek roz shakhon ke phailne se mera qad nahin badha malbus-e-barg-o-bar se niklunga ek roz main bel ban ke tere dariche tak aaunga pedon ki is qatar se niklunga ek roz ye fasle to teri kashish kam na kar sake ab to tere madar se niklunga ek roz ek aks hun aur aansuon ke darmiyan hun shoala hun aabshaar se niklunga ek roz is sang-o-khisht se meri paiwastagi hai aur nikla bhi to waqar se niklunga ek roz ek raushni ka takht mujhe lene aaega zindan-e-tang-o-tar se niklunga ek roz