chhane honge sahra jis ne wo hi jaan saka hoga mitti mein hum jaise mile hain kam koi khak hua hoga ulte sidhe girte-padte chal padte hain is liye hum manzil par le jaane wala koi to naqsh-e-pa hoga itni saj-dhaj se jo chale the qafile wo hain thahar gae hoga hawa-e-sahra jaisa aage jo bhi gaya hoga kuchh hone se an-hone se farq to padne wala nahin ho nahin paya ab tak kuchh bhi hoga bhi to kya hoga mud ke jo aa nahin paya hoga us kuche mein ja ke 'zafar' hum jaisa be-bas hoga hum jaisa tanha hoga