qadam qadam nishan dhundhta raha main ek naya jahan dhundhta raha bahut se qafile mile the rah mein main apna karwan dhundhta raha nikal gaya jo main hudud-e-waqt se to mujh ko aasman dhundhta raha idhar main dar-ba-dar makan ke liye udhar mujhe makan dhundhta raha ajib shakhs hun khushi ka ek pal ghamon ke darmiyan dhundhta raha mujhe bayan kar raha tha koi shakhs main apni dastan dhundhta raha