dard-e-dil apna sunana chahiye

dard-e-dil apna sunana chahiye
hansne walon ko rulana chahiye

ku-e-qatil mein jo honi ho so ho
be-takalluf aana jaana chahiye

tegh-e-abru ke shahidon ke liye
aakhiri khilat shahana chahiye

gar qadam rakhna hai ku-e-yar mein
zindagi se hath uthana chahiye

kya kahun bedardi-e-sayyaad-e-ishq
us ke phande mein na aana chahiye

hum jo baithen to kahan juz ku-e-dost
koi apna bhi thikana chahiye

ranj de kar khush nahin rahta koi
kyon kisi ka dil dukhana chahiye

qissa-e-farhad-o-majnun ho jahan
kuchh to apna bhi fasana chahiye

dekhna hai gar bahaar-e-bagh-e-ishq
khun ke aansu bahana chahiye

yar ke dar ki hai chhani jis ne khak
us ko sar par khak udana chahiye

jag ke kyon so gae phir ai 'haqir'
kya tumhein har dam jagana chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close