main apne-ap ko aawaz de raha hun abhi ghazal ke hath mein ek saz de raha hun abhi ek ek harf meri tishnagi ka zamin hai ek ek harf ko ejaz de raha hun abhi hawa ki zad pe koi barg-e-zard hai kab se so us ke soz ko ek saz de raha hun abhi main dar-ba-dar hun abhi apni justuju mein bahut main apne lahje ko andaz de raha hun abhi thama ke hath mein un ke fazilaton ki sanad main jahilon ko bhi eazaz de raha hun abhi ajab tilism hai aks-e-niyaz o naqsh-e-hawas main rabt-e-shauq ko aaghaz de raha hun abhi