girna nahin hai aur sambhalna nahin hai ab baithe hain rahguzar pe chalna nahin hai ab pichhla pahar hai shab ka sawere ki khair ho bujhte hue charagh hain jalna nahin hai ab hai aastin se kaam na daman se kuchh gharaz patthar bane hue hain pighalna nahin hai ab manzar thahar gaya hai koi dil mein aan kar duniya ke sath us ko badalna nahin hai ab lab-ashna-e-harf-e-tabassum nahin rahe dil ke lahu ko ashk mein dhalna nahin hai ab