waqt-e-mushkil hai pa ye waqt guzar jaega yar-o-aghyar ka han faisla kar jaega thokaren gardish-e-ayyam ki gar khaega pyar ka bhut tere sar se utar jaega kab talak zabt karega bhala suraj ki tapish phul to phul hai ek roz bikhar jaega muddaton baad bhi zinda hai bichhad kar mujh se bin mere us ne kaha tha ki wo mar jaega shiddat-e-ishq-o-mohabbat mein kami aaegi yar ki did ko tu roz agar jaega rakh ke aadab-e-dua pesh-e-nazar ai dai tu dua kar tera daman abhi bhar jaega aaega aisa bura waqt bhi socha hi tha bechte apna hunar ahl-e-hunar jaega jaane ghar walon ko kis darja masarrat hogi subh ka bhula agar sham ko ghar jaega tujh ko ho jaegi duniya ki haqiqat malum jab janaza tera marqad mein utar jaega zindagi mein to palat kar use dekha hi nahin bahar-e-tadfin magar sara nagar jaega ishq-e-mahbub ki lazzat ho mayassar jis ko janib-e-dar bhi be-khauf-o-khatar jaega faisla hoga adalat mein usi ke haq mein bahr-e-qazi jo liye kisa-e-zar jaega dur se pani lagega pa na hoga pani tishna-lab dasht mein jis samt bhi gar jaega