chhate ghubar nazar baam-e-tur aa jae piyo sharab ki chehre pe nur aa jae uthao jam ba-nam-e-hayat baada-kasho nazare jhumen nazar ko surur aa jae sharab-khane mein kausar ka zikr kya kahiye kisi ki aql mein jaise futur aa jae tamam zohd-o-riyazat ho gharq-e-mauj-e-sharab jo mai-kade mein wo shaida-e-hur aa jae maqam-e-dar se guzro to zindagi pao piyo jo zahr-e-halahal surur aa jae nigah tez nafas garm aarzu bebak jise ho naz hamare huzur aa jae ye karobar-e-mashiyyat bhi khub hai 'taban' kisi pe barq gire zad pe tur aa jae