hunar se jae kisi ke na fan se jata hai

hunar se jae kisi ke na fan se jata hai
lahu ka dagh kahin pairahan se jata hai

ba-sad ada nigah-e-sim-tan se jata hai
jigar ke par har ek tir san se jata hai

numud-e-tegh-e-badan marke ka jauhar hai
dikha ke pith kahin koi ran se jata hai

ragon mein soz-e-gham-e-ishq se lahu hai rawan
so wahshi aage nikal kar hiran se jata hai

mizha pe hota hai raushan charagh-e-tanhai
asir-e-zulf agar anjuman se jata hai

na koi tesha na sang-e-giran na ju-e-shir
junun-e-ishq dil-e-kohkan se jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close