chhute ye dhund nazar aae abr-para koi tumhaare nam ka chamke kahin sitara koi bhadak uthenge agar hum bada ghazab hoga hamara rakh mein dhundo na tum sharara koi tumhaare sher mein kyun bu-e-raftagan hai bahut tumhaare baad hi samjha ye istiara koi hui thi dosti jis se wo kar gaya hijrat hamara nafa mein yun dekh le khasara koi wo apni sari imarat ko tyag de ke gaya kahan se kis ne kiya sochiye ishaara koi teri zamin mein likkhe hain sher tere liye teri zamin pe nahin hai mera ijara koi na jaane kyun mujhe chubhta hai aaj-kal 'hamdam' meri hi aankh se likkha hua nazara koi